Saturday, September 30, 2006

A bunch of shers.....:-)




Shayari karne ke liye, shayar hona zaroori nahi,
Zindagi beetane ke liye saathi ka hona zaroori nahi,
Rone ke liye dil ka tootna zarori nahi...
maut ke liye usse gale lagana zaroori nahi...







aandhiyo ne toofano ne faasle humare badal diya
fizaao ne taqdeer ne faisle humare badal diya,
jis mord par chord aaye the woh humko,
woh raaste humne unke kehne par badal diye..





Yaadein
yaad na aye woh hume, aaisa koi lamha nahi
zindagi jeeye kiske saath, aaisa koi kafil nahi
tanha dil aaj bhi tanha hi tha.
najaane kisssi pe ab aeitbaar na raha....


another one..

dil toota hai magar bhikhara nahi,
sambhal gaye the hum magar bhatke nahi.
aansu bhe gaye yuh aankho se humari
yaad na jaaye ab zindagi se tumahri....



Tanha

dil kabhi tanha na tha
un par kabhi fida na tha
wafa ki kasam unhone khoob khayi thi
bewaafi ki rasam unhone hi nibhayi thi...



Dilwaale
yaado ke samunder mein ek jahan hum banyegaye
teri yaad mein game-e-mehfil hum sajaayegaye
sunayegaye kisse kahaniya tum bewaafo ko
jab bulangaye hum sab toote dilwalo ko...




Woh Lamhe

woh beeta hua lamha yaad aa gaya,
jab unka chehra yaad aa gaya
pukara tha jab zaamane ne unka naam
woh guzara hua saal yaad aa gaya......



original
© copyright Sakshi Aggarwal

No comments: