Friday, December 22, 2006

Arz Kiya hai....





Dil


ada se sher likhegaye hum..
samhaj mein aaye toh samhaj lena..
dil ki baatein hai yeh..
jo dil hi se pooch lena...



Kehna hai


andaaz ka kya kehna..
jab baatein hai nirali..
sher kya arz kare ab ..
jab loot kar le gaye mohabbat humari...



Khawab


gungunate the woh nagma woh geet tum ho,
dhoondti thi jinko aankhe woh noor tum ho
bin piye jo nasha chaya woh jaam tum ho
khawhish thi jis pyaar ki woh khawab tum ho.


Nazar


loot kar jo dil le gaye,woh apane ki kehlawate hai
gair toh wohi hai jo aapne se bhaate hai..
pyaar ki kashti mein toh jahan saara loota hai
tumhi woh shaqs ho jo apana sa nazar aata hai

Parody Song - Tumse milke dil ka hai jo haal kya kahen




Parmeet Lines-----
Archana jaise hai ik budiya, Parmeet hai ik naujawaan
Dono ke aage bebas hai, duniya mein har insaan
NB mein sab deewaane hain, unke baache hai ab hairaan
dono ke saath sab kuch mushkil hai, unke bagair sab aasaan
Dekho baacho, ye contestant, woh budiya, mein naujawaan
hum nach baliye mein kaise gum

Haay! Archana se milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye bejaan kya kahen
Archana se milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye darrpok ab kya kahen

Chorus:
(Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara dhum-ma
Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara hum) -2

Archu toh ik kaanta jaana, dil ki woh mareez hai
woh toh hai marraige ki kashti, jismein mein dooba hua hoon
usse na kuch maange jaana, agar woh saamne ho
shaadi meri tanha dosto, nach baliye toh mehfil hai

Archana Lines------
Marriage se hi saari khushiyaan, parmeet se shaadi kar ke hai barbaadi
Parmeet hai naujawaan lekin, main bhi hoon uski aashiqi
humari hi duniya mein yaaron, baacho ki aabaadi
Ho gaya woh jisko bemaari, humne woh hi phelaayi
Dekho baacho, ye contestant, mein jawaan, woh budda
hum nach baliye mein kaise gum

Sonu:
Haay! parmeet se milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye bejubaan kya kahen
parmu se milke dil ka hai jo haal kya kahen
Ho gaya hai kaisa ye mareez kya kahen

Chorus:
Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara dhum-ma
Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara hum

parmeet ko maana hai, ussi ko ab tak chaha hai
Hamne jab kee hai shaadi, toh phir usko nibaahna bhi hai -2
hum lardte hai zaroor jaana, isko tum keh sakte ho mohaabat
tumhare saar mein kyun dard hai jaana, mujhko tum batlaao
zindagi ki jo manzil hai jaanu, ismein tum saath dena....

parmeet

tumhari awaaz men hai jaado, mujhpe tum sunaado
mohaabat leke aaya hai, tera ye deewaana
teri surat pe mit jaayega, tera ye parwaana
archu mere liye tum kya ho, tumne ye na jaana
hum dono ko yaad aayega, beeta hua afsaana

both

Dekho aashiqi, humari mohaabat, hum diwaane, do mastaane
bas nach baliye mein kaise gum


Chorus:
(Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara dhum-ma
Dhum tara, dhum tara, dhum tara, dhum tara
Dhum tara dhum tara hum) -2




Har insaan ki hoti hai ek khaanai,
zindagi jiye ya hoye viraani,
maut toh aani hai sabko ek din,
shikwa kya kare jab jaana hai ek din.....




Khawahish hoti hai manzil hasil karne ke liye,
thokar lagi hai insaan ko zindagi se zindagi ko milaane ke liye,
aashina banayegaye hum yeh khawish this aapni,
paani mein beh jayega, zindagi ki kahani thi aapni.

Sunday, December 17, 2006

Pyaar ke side effects....

Jaane kya chahe mann baawra…
jaane kya chaahe mann baanwra
aankhiyan mere saawan chalaa

saghan aanchal sada hor hove
sajan ansuvan mein kya jor hove
kya jor hove, apne jiya pe
mann to mara ye manchala

jaane kya chaahe mann baanwra
aankhiyan mere saawan chalaa

pawan purva mein yun udta jaave
badra chanda se mann judta jaave
aave hawa ka, jhonka phir aisa
toote patang ki dor sa

jaane kya chaahe mann baanwra
aankhiyan mere saawan chalaa


Music by Pritam n artist is Zubin...